Thursday, 20 June 2013

For those... Who miss their villages..!

Bada bhola bada saada bada sachha hai...
Tere sheher se to mera gaon achha hai...
Waha main mere baap ke naam se jana jata hu...
Or yaha makaan number se pehchana jata hu...
Waha fate kapdo mein bhi tan ko dhapa (cover) jata hai...
Yaha khule badan pe tatoo chhapa jata hai...
Yaha kothi hai, banglay hai car hai...
Waha parivaar hai or sanskaar hai...
Yaha cheekho ki awaaz deewaro se takrati hai...
Waha dusro ki siskiya bhi suni jaati hai...
Yaha shor-sharabe mein kahi kho jata hu...
Waha tooti khatiya (cot) pe bhi aaram se so jata hu...
Yaha raat ko bhar nikalne mein dehshat hai...
Mat samjho humein ki hum gaaon se aye hai...
Tere sheher ke baazar mere gaaon ne hi sajaye hai...
Waha izzat mein sar suraj ki tarah dhalte hai...
Chal..! aaj hum usi gaaon chalte hai...
...Usi gaaon chalte hai...!!

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.