Wednesday, 10 July 2013

A poem for missing our childhood...

Chalo phir dhoond lete hain
usi nadan bachpan ko
unhi masoom khushiyon ko
unhi rangeen lamhon ko
jahaan gham ka pata na tha
jahaan dukh ki samjh na thi
jahaan bus muskrahat thi
baharen hi baharen thi
ke jab sawan barasta tha
tu us kagaz ki kashti ko
banana aur dabo dena
bohat acha sa lagta tha
aur is duniya ka har chehra
bahaut sacha sa lagta tha
chalo phir dhondh lete hain
usi masoom bachpan ko...

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.