Teri ankhon ka ye kajal bada anmol lagta hai...
Teri zulfon ka ye badal bada anmol lagta hai...
Teri peron ki wo payal... Tere hathon ka wo kangan...
Wo jhumka tere kaano ka bada anmol lagta hai..
Jo milte ho mujhse raaho'n mai...
To dil jhoom uthta hai...
Zara se sath ka wo pal bada anmol lagta hai...
Wo kagaz pe tera naam likhna or mita dena...
"Deepak" mujhe ye khud ka pagal'pan bada anmol lagta hai...

No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.