In the deep memories of my "Princess"
Har Zulm tera yaad hai , bhula to nahi hoon
Aye wada faramoosh , main tujhsa to nahi hoon
Sahil pe khade ho tumhein kya gham , chalay jana
Main doob raha hoon , abhi duba to nahi hoon
Chup chaap hi Bech diya tune , waqt ke hathoon
Majbor sahi, waqt se hara to nahi hoon
Muztar (bechain) kyon mujhay dekhta rehta hai zamana
Deewana sahi, unka tamasha to nahi hoon
Har Zulm tera yaad hai , bhula to nahi hoon
Aye wada faramoosh , main tujhsa to nahi hoon

No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.